الوداع الوداع الوداع اے حسین
Alwida Alwida Alwida Ay Hussain

- Language
- Urdu
Roman Urdu
alwida alwida alwida ay Hussain
1
ye sadaaye fughan aur yeh majlisein
matam-o-nauha-o-gham ki yeh zeenatein
chahta hai yeh dil yunhi qaim rahe
aah phatta hai dil kis tarah yeh kahe
2
mere mehmaan hai aakhri yeh salam
tujh pe qurbaan hai aakhri yeh salam
shah-e-zeeshan hai aakhri yeh salam
dil hai veeran hai aakhri yeh salam
3
bakhsh de ho gayi ho jo koi khata
haq-e-khidmat na hum se ada ho saka
gham yahi hai na jee bhar ke matam kiya
teri khatir na kyun apna sar de diya
4
gar jiye saal bhar phir karenge yeh gham
royenge phir tere gham mein mil kar baham
aur agar mar gaye to yeh hoga alam
haaye afsos jee bhar ke roye na hum
5
alwida ay Hussain ay Hussain alwida
alwida ay shah-e-mashriqain alwida
bint-e-Ahmad ke ay noor-e-ain alwida
hai Mujahid ke lab par yeh bain alwida