تجھے دیکھ کے مر جائے نہ بیمار ہے صغری
Aye chand muharram kai

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Aye chand muharram kai,
tu badli mein chala jaa
2
Tujhay daikh kay mar jaye na,
beemar hai Sughra
Ghar Zahra ka lutne ki, khabar tu ne sunai
Tujhe dekh ke roti hai, muharram mein khudai
Chauda sau baras beete hain, sab karte hain shikwa.
2
Milne ke liye bhai, ko bechain bari hai
Kab se Ali Akbar ki ye, raahon mein khari hai
Bichri hai yeh muddat se, isse tu na nazar aa.
4
Veeran gharon mein na, isse neend hai aati
Akbar ki judai hai, isse khoon rulati
Qadmon ke nishan dhanp ke, bethi hai sar-e-raah.
4
Gin gin ke jo Sughra ne, yeh din hain guzare
Zinda hai tu Akbar ke, wadon ke sahare
Din raat tarapti hai, isse aur na tarpa.
6
Bhayya ki judai mein, pareshan hai rehti
Har roz yeh nana ko, ro ro ke hai kehti
Akbar na mila nana, main mar jaaungi tanha.
6
Qasid ko diya khat mein, yeh paigham likhaa ke
Ik bar tu miljaa mujhe, seene se laga ke
Pathraati huwi nazrein, kab dekheingi chehra.
8
Waadaa jo kiya behan ko, seene se laga ke
Main shadi karon ga to, tere paas hi aa ke
Main saat muharram ko, lautunga na ghabra.
8
Rone nahi dete mujhe, raton ko musalmaan
Bemari se be-haal hoon, kuch roz ki mehmaan
Har simt se hai mujh ko, ab maut ne ghaira.
10
Behnon ka to bhaiyon se, rishta hi ajab hai
Tum bhul gaye mujhko, yeh kaisa ghazab hai
Iss aas pe zinda hoon, dekhun tera sehra.
10
Sughra ke naseebon mein, rona hi likha hai
:sardar: masooma ko, mili kaisi saza hai
Khat aaya na akbar ka, roti rahi Sughra.