کاٹو نہ میرا خشک گلا
Goonji bawaqt e asr

- Language
- Urdu
Roman Urdu
2
Goonji bawaqt e asr sada main Hussain hoon
Kaato na mera khushk gala main Hussain hoon
Amma kisi ne pani ki ek boondh bhi na di
Main baar baar kehta raha main Hussain hoon
2
Sookhi hui shimr mere halq ki ragein
Aahista tu churi ko chala main Hussain hoon
4
Sheeren ke ghar pe pahuncha jab raando ka qafila
Naize se ek sar ne kaha main Hussain hoon
4
Darbaar may laeen ke kohraam mach gaya
Mukhtar se jo sar ne kaha main Hussain hoon
6
Zaanu pe rakh ke sar ko kaha ek zaeef ne
Akbar kahan hai dard bata main Hussain hoon
6
Ay shamiyo kafan na diya mujhko gham nahi
Dedo meri behan ko rida main Hussain hoon
7
Mehsoos ho raha hai ke maqtal se aaj bhi
Awaaz aa rahi hai Raza main Hussain hoon