جنگل میں بھرے گھر کو لٹا آئی ہے زینب، اے شہرِ مدینہ
Jangal May Bhare Ghar Ko Luta Aayi Hai Zainab

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Jangal may bhare ghar ko luta aayi hai Zainab ay Shehr-e-Madina
Abid ko kisi tarha bacha laayi hai Zainab ay Shehr-e-Madina
1
Bandhwa ke rasan haaton may aur khutbe sunaake ghar baar lutaake
Dewaar bade kufr ke dha aayi hai Zainab ay Shehr-e-Madina
2
Jis shehr may Shehzaadiyo ki tarha rahi thi naazon se pali thi
Sar nange usi shehr may ho aayi hai Zainab ay Shehr-e-Madina
3
Jo hijre padar may rahe har waqt pareshan soyi nahi ek aan
Us bachi ko zindaan may sulaa aayi hai Zainab ay Shehr-e-Madina
4
Dhaaras thi bahot Bhai ko jis Bhai ke dam se dil phat-ta hai gham se
Saahil pe akela usay choad aayi hai Zainab ay Shehr-e-Madina
5
Chhey maah ke Asghar ko bhi jhoole ke bajaaye dukh dard chipaaye
Aaghosh may turbat ke sulaa aayi hai Zainab ay Shehr-e-Madina
6
Thay Aun-o-Mohammad jo meri aankhon ke taare mamu ke dulaare
Qurbaan unhe Bhai par kar aayi hai Zainab ay Shehr-e-Madina
7
Tha Akbar-e-Nashaad jo is ghar ka ujaala wo Gaysuon wala
Marqad may akela usay choad aayi hai Zainab ay Shehr-e-Madina
8
Naadim hai bahot laa saki Qasim ko na humra wa hasrat-o-darda
Kubra ko magar saath liye aayi hai Zainab ay Shehr-e-Madina
9
Pani jo piye ehle watan pyaas na bhulay moo ashkon se dholay
Kehne ko ye Bhai ka payaam aayi hai Zainab ay Shehr-e-Madina
10
Manzar wo bhula sakti nahi ta dame aakhir hai kehne se qaasir
Jo Shaam ke darbaar may dekh aayi hai Zainab ay Shehr-e-Madina
11
Kis waqt Khuda jaane qadam nikle thay ghar se chaadar chini sar se
Ab tak na masayab se nikal paayi hai Zainab ay Shehr-e-Madina
12
Shabbir pe ab royega ta hashr zamana hai gham ka fasana
Majlis ki bina Shaam may daal aayi hai Zainab ay Shehr-e-Madina
13
Reh jayega Akhtar* ufaqe gham pe tera naam kya khoob hai inaam
Nauha tera sun-ne ke liye aayi hai Zainab ay Shehr-e-Madina