میری مرقد بنا دینا
meri marqad bana lena

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Aye bani asad walo
mera laasha utha lena
Aur kafan bhi pinha dena
2
Meri marqad bana dena
Mera laasha utha lena,
meri marqad bana dena
1
Mera akbar bhi qasim bhi abbas bhi
Aur aun o mohammad mere pur mahan
Sab pare honge maidaan me bekafan
Hogi majboor lachaar meri bahan
Usko tum ik rida dena
Meri marqad bana dena
2
Main nabi ka nawasa hun ae doston
Fatima ka dulara hun ae doston
Tumse Shabbir kuch bhi nahi maangta
Sirf ik baat kehta hun ae doston
Karbala ko saja dena
Meri marqad bana dena
Jab bhi zaair ziyarat ko aayen miri
Usko mehmaan rakhna yahan teen din
Usko paani pilana meri simt se
Usko khana khilana yahan teen din
Usko meri dua dena
Meri marqad bana dena
4
Asr ko tan se sar mera hoga juda
Meri hurmat karenge na ahl-e-Saqar
Dushmani me wo had se guzar jayenge
Ghore dauraayenge wo meri laash par
Mera laasha bacha lena
Meri marqad bana dena
6
Phir asad ke qabile ke bacchon se bhi
Is tarha mera maula mukhatib hua
Apni mutthi me matti uthaa kar tumhi
Ho sake to meri laash par daalna
Meri maan se dua lena
Meri marqad bana dena
6
Dekhna tum ke kuch waqt guzrega jab
Aur roze hamare banenge yahan
Naam to is jagah ka hai karbobala
Kal ise sab pukarenge rashk e jinan
Tum bhi jannat ko paa lena
Meri marqad bana dena
8
Mein kahan jaunga bekas-o-bewatan
Sab kahenge mujhe shah-e-tashna dahan
Ran me teeron ka hoga mera pairahan
Khaak-e-karbobala hogi mera kafan
Sab ko khaak-e-shifa dena
Meri marqad bana dena
8
Ab bhi ashoor ko rauza-e-shah par
Aata hai sab kabila asad ka nazar
Shah-e-deen ki wasiyat unhein yaad hai
Ab bhi Majid ye kehte hain wo nauhagar
Sheh ka laasha uthaa lena
Sheh ki marqad bana dena