نہ بھول کر بھی کبھی تم کسی کی بات کرو
Na bhool kar bhi

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Na bhool kar bhi kabhi tum kisi ki baat karo
Ali ka zikr karo bas Ali ki baat karo
Kisi ka nafs kisi ka wasi kisi ka wali
Ye sab sifaat hon jis mein usi ki baat karo
Ali ke naqsh-e-qadam ka main zikr karta hoon
Tum us ke saath hi dosh-e-Nabi ki baat karo
Ye zikr zikr-e-Nabi hai yehi hai zikr-e-Khuda
Ali ke hotay huay kyun kisi ki baat karo
Sar-e-niyaaz jhuka do Ali chaukhat par
Ghuroor-o-naaz se phir bandagi ki baat karo
Samajh mein aa na sakay ga kabhi Ali ka maqaam
Na is tarha kabhi deewangi ki baat karo
Azal se saaqi-e-kausar se hoon main waabasta
Na meray aagay kisi tishnigi ki baat karo
Lehad mein meri andhera ho ghair mumkin hai
Jahan Ali ho wahan roshni ki baat karo
Hai waqt nazaa ka baali pa aayay hain Mola
Kahan ki maut bas ab zindagi ki baat karo
Farishton kaisa sawal-o-jawab turbat mein
Ab aa gaye ho to betho Ali ki baat karo
bawaqt-e-nazaa kahunga mein mominon se saeed
nikal raha hai mera dam Ali ki baat karo