سجاد کو بے موت یہ غم مار گیا ہے
Sajjad ko bemaut ye gham maar gaya hai

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Sajjad ko bemaut ye gham maar gaya hai
Beparda haram saath hain aur shaam chala hai
1
Naa maar Sakina ko tamachay ay sitamgar
Ehsaas-e-yateemi hi bari sakht saza hai
2
Ay Shimr-e-Laien kis pay tu barsata hai kooray
Aabid to bari dair se behosh parha hai
3
Lo aagai zindan se riha ho ke Sakina
Sajjad ke seene se jo aik laasha laga hai
4
Shikwa nahin zindan se koi Bint-e-Ali ko
Kia kam hai ke deewaron ne parda to kiya hai
5
Sar Ghazi ka tharra ke gira nok-e-sina se
Shaayad sar-e-Zainab ko khula dekh liya hai
6
Kehti thi ye Sughra huwa kia Karb-o-bala main
Qaasid tere daaman pe lahu kis ka laga hai
7
Maqtal se chali aati hai Zahra ki sadaain
Ya Rab ye kahan ka qafla saalaar chala hai
8
Behta hai shab-o-roz lahu aankhon se ab tak
Sajjad ne tashheer ka wo zehr piya hai
9
Zanjeeron ki aawaz ubharti rahi shab bhar
Is qaidi ko kia rog hai kyun jaag raha hai
10
Darbar-e-jafaakaar me yun aatin hain Zainab
Chehray pe lahu Aun o Muhammad ka mala hai