جب ردا سر سے چھنی میں سدا دیتی رہی
tu na aaya ghazi

- Language
- Urdu
Roman Urdu
jab rida sar se chini mai sada deti rahi
tu na aaya ghazi
aale imran kahan aur zindan kahan
le behan qaid hui tu na aaya ghazi
1
aagayi sham-e-alam lut gaye ahle haram
rait par jalti huwi hogaya thanda alam
pursa dene ke liye mujhse milne ke liye
aagaye baba ali
2
dhoop may tu tha shajar tujhse aabaad tha ghar
hai barehna mera sar kya nahi tujhko khabar
ay alamdar-e-wafa is behan ko ba-khuda
tujhse dhaaras thi bari
3
kya kahun sher mere berida humko liye
ye musalman saare shehr dar shehr gaye
khilqate koofa kabhi khilqate shaam kabhi
baaraha hum pe hansi
4
kitni bebas thi behan ay shehenshahe wafa
naam le le ke mera jab ye zaalim ne kaha
naaz tha jispe tujhe ab bulao na usay
aur main roti rahi
5
humko pani na milay teri khusboo to rahe
tere baazu na katein chahe mashkeeza chiday
ye magar ho na saka tere baazu hain juda
mujh pe hai tashnalabi
6
kya sakina se kahun ay mere dil ke sukoon
haye pani ke liye beh gaya sab tera khun
ab koi aas nahi tu mere paas nahi
rassi shaanon mein bandhi
7
jab chali sheh pe churi ay mere sher-e-jari
haath malti thi behan kuch qadam dur khari
kat gaya sheh ka gala haye bhai ne sada
mujhko har zarb pa di
8
qaid khane may qaza jab sakina ko mili
deke kurte ka kafan bachi dafnayi gayi
us ghari naam tera surat-e-nad-e-Ali
bas main duhrati rahi
9
roya rehaan qalam karke ye baat raqam
khoon may doob gaya mere ghazi ka alam
zakhmi zainab ka jigar khoon-fishan shaah ka sar
aaye khaimon may shaqi