وہ خون رو کے یہ کہتا رہا زمانے سے
Wo khoon ro ke

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Wo khoon ro kay kehta raha zamanay say
Ridaeyn cheeno naa (x2) logo mere gharanay say
1
Sawal-e-aab pay sonay pay us kay ronay pay (x2)
Wo maartay thay (x2) sakina ko her bahaanay say
2
Bulaey kis tarha abbas ko madad kai leeyai (x2)
Wo berida thee (x2) jhijhakti rahi bulanay say
3
Sulaya jaata tha bayhosh ker kay durron say (x2)
Jagaya jata tha (x2) abid ko taazianay say
4
Kuch is terha sar-e-kerbobala wo ujray thay (x2)
Kay dar rahay hain (x2) abhi tak wo ghar basaanay say
5
Kaha ye ganj-e-shaheedan mei baap kay sar nay (x2)
Mujhai sakina (x2) bulati hai qaid khaanay say
6
Rida-e-saani-e-zehra mei dhal gaya akbar (x2)
Ghubaar utha jo laashon kay thar tharaanay say