آ اصغر بن تیرے میں چین کہاں سے پاوں
Aa Asghar bin tere

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Aa Asghar bin tere, mai chayn kahan se paaun
Aa laut ke aaja laal mere, jee bhar ke naaz uthaun
1
Meri aankh ka taara hai tu, mujhko jaan se pyaara hai
Maa dukhyari ke jeene ka, tu hi laal sahara hai
Tujhe chhor ke tanha maqtal mein, main kaise shaam ko jaaun
2
Teri wo masoom adayein, teri yaad dilati hain
Tere pyaar ki wo sab baatein, mujhko bohot rulati hain
Main teri judayi mein beta, ro ro ke mar na jaaun
3
Loriyon wale ye to tere, naaz uthane ke din thay
Aankhon mein teri khushiyon ke, khwab sajane ke din thay
Aa laut ke Asghar aa beta, tera kurta mai badlaun
4
Bhool nahi sakti maan Asghar, pyaase honth tere beta
Khaali god hai aur zindaan hai, aaja maan ke paas aaja
Aa nanhe mujahid mai teri, ashkon se pyaas bujhaun
5
Kitni hai bechain sakina, tere naaz uthane ko
Subh-o-shaam tarasti hai woh, tera dil behlane ko
Teri laadli behen sakina ka, main dil kaise behlaun