آ کے پرسہ لو اپنے بابا کا العجل العجل امام زماں
Aa ke pursa lo apne Baba ka

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Aa ke pursa lo apne Baba ka
al-ajal al-ajal Imam-e-Zaman
Samarra se utha hai ik laasha
al-ajal al-ajal Imam-e-Zaman
1
Aaj gyaara Imam rote hain
Khud Rasool-e-Anam rote hain
Bain karti hain Fatima Zahra
al-ajal al-ajal Imam-e-Zaman
2
Thartharati hai Samarra ki zameen
Kaun sa ghar hai jis mein sog nahin
Khud Baqayya se aayi hain Zahra
al-ajal al-ajal Imam-e-Zaman
3
Aa gayi Qum se aik Shehzadi
Aur Zainab bhi Shaam se aayi
Lab pe donon ke hai yehi noha
al-ajal al-ajal Imam-e-Zaman
4
Samarra mein hua hai hashr bapa
Phir se Saadaat pe hai waqt kara
Muntazir hai namaaz ko laasha
al-ajal al-ajal Imam-e-Zaman
5
Tum namaaz-e-Hasan parhaate ho
Haaye Abid ki bekasi dekho
Baap ki laash jo utha na saka
al-ajal al-ajal Imam-e-Zaman
6
Laash pe haye bain kaun kare
Na hai dukhtar na paas beta hai
Yaad aane lagi hai Karb-o-Bala
al-ajal al-ajal Imam-e-Zaman