بے سر جو اپنے باپ کو دیکھا نشیب میں
besar jab apne baap ko dekha nashaib mein

- Language
- Urdu
Roman Urdu
sunsaan ban wo raat wo uth'ta hua dhuan
nikli padar ko dhoondne nanhi si ek jaan
daaman jala huwa tha to kaanon se khun rawaan
neelai thai donon gaal tamachon ke thai nishaan
tuta tha kamsini mein masayib ka aasmaan
khati huwi wo thokarein lashon ke darmiyan
kehti thi baba jaan bata do ke ho kahan
ek laash bol uthi meri beti mein hoon yahan
lekar usi sada ka sahara puhanch gayi
roti hui nashaib mien dukhiya puhanch gayi
be-sar jo apne baap ko dekha nashaib mein
royi bohat yateem sakina nashaib mein
1
maqtal may laash baap ki jab sar kati mili
thi umr char saal ki bachi tadap gayi
beti jab apne baap ko pehchan na saki
awaaz ya abaa ki sakina ne ro ke di
laasha ghareeb baap ka bola nashaib mein
royi bohat yateem sakina...
2
likha hai raawiyon ne wo manzar bada ajeeb
jangal wo kali raat wo ghurbat wo gham naseeb
awaaz sun ke baap ki pahunchi hai jab khareeb
haalat pidar ki dekh ke royi bohat ghareeb
beti ke saath baap bhi roya nashaib mein
royi bohat yateem sakina...
3
aage barhi hussain ki mazloom ghamzada
teeron se jism baap ka dekha bhara hua
ghabra ke teer jism se karne lagi juda
kamsin thi koi teer na us se nikal saka
paaya na jab hussain ka seena nashaib mein
royi bohat yateem sakina...
4
khaali na paayi jism pe teeron se koi jaa
karne lagi tawaaf wo baba ki laash ka
mayoos ho ke payinti baithi wo ghamzada
rukhsaar apne baap ke talwon pe rakh diya
le kar padar ke paaon ka bosa nashaib mein
royi bohat yateem sakina...
5
apne pidar ki laash pe le le ke siskiyan
wo apne dard baap se karne lagi bayan
rukh par bani thi saaf jo zaalim ki ungliyan
bachi ne jab dikhaye tamachon ke wo nishan
zakhmi badan hussain ka tadpa nashaib mein
royi bohat yateem sakina...
6
phir ye kehne lagi ro ro ke yateema baba
mere baalon ko sitamgar ne jo pakda baba
maara zaalim ne mujhe aisa tamacha baba
cha gaya meri nigahon mein andhera baba
7
kehti thi mai yateem hoo mujh par na waar kar
ki minnatein bahot ki zara intezaar kar
mai de rahi thi shimr ko bunde utaar kar
cheene hai be rehm ne magar mujhko maar kar
ye dard jab pidar ko sunaya nashaib mein
royi bohat yateem sakina...
8
jo haath sar pe roz phirate thai shah-e-deen
us haath ke qareeb jo aayi wo naazneen
apne pidar ke haath pe jis dam rakhi jabeen
us dam na thi yateem ke pairon tale zameen
bin unglion ka haath jo chuma nashaib mein
royi bohat yateem sakina...
9
waiz likhega kaun yateema ki bekasi
laashe shah e zaman se wo jis dam juda hui
lagta tha ab jiyegi na bachi hussain ki
jaane lagi nasheb se jab sheh ki laadli
baba ko apne chod ke tanha nashaib mein
royi bohat yateem sakina...