چاند کو دیکھ کے صغری نے کہا ہائے حسین
Chand ko dekh ke Sughra ne kaha haye Hussain

- Language
- Urdu
Roman Urdu
2
Chand ko dekh ke Sughra ne kaha haye Hussain
Aageya mah e muharram haan nahi aaye Hussain
Yaad pardais main aati hai lahad amman ki
Dil ka ahwal sunane ko kahan jaye Hussain
2
Aap aaye na khabar aayi na Akbar aaye
Kaisay is haal main Sughra se jiya jaye Hussain
4
Jab se ye chand muharram ka nazar aaya hai
Amma roti hai tujhe ay mere maa jaye Hussain
4
Koi tasweer to Zahra ki rahi parde main
Ye to acha huwa Sughra ko nahi laye Hussain
6
Naam par Shah ne Akbar ke kharidi hai zameen
Kaisay jaagir tujhe bhai ki dikhlaye Hussain
6
Eid bhi sog ke aalam main guzari us ne
Haye Akbar kabhi kahti thi kabhi haye Hussain
8
Mustaqil Shah ki aakhon se thay aansun jari
Khat-e-Sughra ko mukammal nahi parh paye Hussain
8
Aik ik beti se rukhsat huwe khamein main magar
Haye afsos ke Sughra se na mil paye Hussain
9
Likh ke noha ye takallum ne dua magi hai
Har azadar ko aashur pe bulwaye Hussain