دل ٹھکانہ میرے حسینؑ کا ہے
Dil Thikana mere Hussain ka hai

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Dil Thikana mere Hussain ka hai
ye Khazana Mere Hussain ka hai
Tum Jisay aasmaan samajhtay ho
Shamiyana Mere Hussain ka hai
Koi Poochay ye daur kis ka hai
Tum batana Mere Hussain ka hai
Jis ke Saaye Main Kaainaat bani
Aisa Nana Mere Hussain ka hai
Ye jo Kaba hai Tum na Samjho gay
Ghar Poorana Mere Hussain ka hai
Aana Farsh e Aza pe Be Parda
Dil Dukhana Mere Hussain ka hai
Jis Jagah Hur Banaye Jatay hain
Karkhana Mere Hussain ka hai
Ho Agar Munkir e Namaz Koi
Bhool jana Mere Hussain ka hai
Dainey Wali Hai Zaat Allah Ki
Per Dilana Merey Hussain Ka Hai
Maaray ek Sabar se Hazaar Uddoo
Kia Nishana Mere Hussain ka hai
Ug Raha Hai Jo Baad-e-Karbobala
Wo Dana Dana Merey Hussain Ka Hai
Matami jab Koi Nazar Aaye
Maan Jana Mere Hussain ka hai
Kaash Kehney Lagey Ye Log Mujhey
Tu Deewana Merey Hussain Ka Hai
Ye Jahan Kia hai Dono Aalam main
Aana Jaana Mere Hussain ka hai
Mujh main Rehan ye Shaoor Jo Hai
Shairaana Mere Hussain ka hai