فاتحِ بدر و اُحد، خندق و خیبر بولے
Faatahe Badr-o-Uhad Khandaq o Khaiber bolay

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Faatah-e-badr-o-Uhad, khandaq o khaibar bolay
Fard hai eik zamana isay lashkar bolay
Gaarh kar run mein Alam, Faatah-e-khyber bolay
Hai Ali naam mera maan mujhe Haider bolay
Ayi mushkil abhi asaan kiyay detay hai
Tan pay acha nahi lagta ho jisay sir bolay
wo alag log thay jo dekh ke dar laut gaye
haye marhab hai kahan ab koi antar bole
*aaj to arsh-e-mualla pe hai rindon ka dimaagh
aaj peene ke liye ke liye saqi-e-kauthar bole
*Baakhuda is mein nusairi ki nahin koyi khataa
Madh-e-Hyder mein payambar hain sambhal kar bolay
ye zacha khaana-e-farzand-e-abu talib hai
ye zamana jise allah ka hai ghar bole
khaana-e-kaaba azal hi se ali ka ghar hai
saamne aaye kisi aur ka ho ghar bole
dekh kar aate huwe Faatah-e-khyber ke qadam
muskurati huwi diwaar barhi dar bole
Hamil-e-wahi-e-illahi nay chusaayi hai zaban
Ilm ka shehr isay Ilm ka hai dar bolay
ye ghulaamaan-e-ali ibn-e-abi talib hain
has ke rizwan ko ishaare se payambar bole