ہلچل ہے فوجِ شام میں عباسؑ آتے ہیں
Halchal hay fauj e shaam mein Abbas atay hain

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Halchal hay fauj e shaam mein Abbas atay hain
Teeron pe teer naizon pe naizay chalaty hain
1
Kya waqt parr gaya hay Muhammad ki aal par
Chadar nahi hay baalon se mun ko chhupatay hain
2
Asghar ko maa chhupati hay jhuk jhuk kay goud me
Khaimon ko torr torr kay jab teer atay hain
3
Dil pani pani hota hay bachon ki pyas se
Sookhi zubaan honton par Asghar phiraty hain
4
Ghoray doraye shaam kay lashkar jo atay hain
Kam umr bachay khaimon me ghabraye jatay hain
5
Dunya ko de diya hay sabaq ye Hussain ne
Raah e khuda me is tarhan sar ko kataty hain
6
Allah re sabar sayed e waala ka dekhiye
Rann me jawan betay ka laasha uthaty hain
7
Jis waqt ye suna kay mai marti hun pyas se
Mashkeeza le haathon me Abbas jatay hain