ہائے ہائے علی اکبر، ہائے ہائے علی اکبر
haye haye ali akbar

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Kehti thi yeh maan khoon bhari mayyat se lipat kar
Haye haye ali akbar haye haye ali akbar
1. Armaan tha pehnaungi poshak shahani
Afsos ke raas aayi na tujhko ye jawani
Kaisa tha muqqadar
1
2. Itna to zara thero tumhen dulha bana lu
Bas aik jhalak sehre ki Sughra ko dikhalu
Be chain thi khwahar
4
3. Athaara baras paal ke parwaan charaya
Wo gaisuo'n wala hai mera khoon me nahaya
Ye kya hua dilbar
3
4. Maa teri judai me bhala kaise jiyegi
Mar jayegi Sughra jo khabar teri sunegi
Ab kya karun ji kar
6
5. Karti thi ziyarat mai payambar ki tujhhi se
Ab ghar mei kise dungi mai tashbih nabi se
Ham shakal e payambar
5
6. Thehro keh main atharwin mannat tu barha doon
Phir le ke balaein tujhey jeene ki dua doon
Sadqay ho yeh madar
8
7. Pehle tu ik aawaz pe uth jate they beta
Ab itni sadaon pe bhi pehlu nahi badla
Kya ho gaya dilbar
7
8. Tum hichkiya'n le le ke jo dam tor rahe ho
Mun maan se hamesha ke liye mor rahe ho
Kyun ruthe ho dilbar
10
9. Aayen jo hame lootne khayme me sitamgar
Maa de gi sadayen ali akbar ali akbar
Chin jayegi chadar
9
10. Jab koi jawaa'n laash nazar hai mehshar
Ek yaad suye karbobala jaati hai mehshar
Dil rota hai kehkar