حسین آج ہے تنہا، حبیب آجاؤ
Hussain aaj hai tanha, Habib aajao

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Hussain aaj hai tanha, Habib aajao
Kara hai waqt khudaya Habib aajao
1
Ye Karbala hai yahan dost ki zarurat hai
Yahan to mujh se bhi pehle teri shahadat hai
Nahin hai koi humara
2
Meri nigah mein ab Karbala ka maqtal hai
Hussaini baandh ki fehrist na mukammal hai
Hai saath ab mera kunba
3
Tumhe Hussain ke haq mein jihaad karna hai
Kiya tha waada jo bachpan mein yaad karna hai
Yehi hai farz tumhara
4
Watan se door hoon mujh par hue hain haaye gazab
Main Hajj ko Umrah mein tabdeel kar chuka hoon ab
Badal gaya hai zamana
5
Muhib Hussain ne hasrat se chaar soo dekha
Zameen-e-Karbobala ko lahu lahu dekha
Likha ye aakhri fitra