حسین پنجتن کا نورِ پنجم
Hussain kiya hai namaz kiya hai

- Language
- Urdu
Roman Urdu
1
Hussain panjetan ka noor-e-panjam
namaz hoti hai panjgana
namaz mein ijz o inkisari
Hussain ki shan fatehana
namaaz qible ko dhundti hai
Hussain Kaaba bana raha hia
tu ab bhi mujhse ye puchta hai
Hussain kiya hai namaz kiya hai
2
namaz ki ibteda wuzu hai
to us ko pani se benayazi
namaz ji inteha taharrat
Hussain shahkare pak daaman
namaz hai baarha ibadat
Hussain ka zikr be riya hai
tu ab bhi mujhse ye puchta hai
Hussain kiya hai namaz kiya hai
3
namaz hai Roshni ki taalib
Hussain shamein bujha raha hai
namaz kasrat ko chahti hai
ye shan-e-wehdat dikha raha hai
namaz peeche hai mustufa ke
ye dosh per jagmaga raha hai
tu ab bhi mujhse ye puchta hai
1
Hussain kiya hai namaz kiya hai
4
namaz darti rahi lahu se
ye khun ki masnad bicha raha hai
namaz zindon ka hai wazifa
2
Hussain marna sikha raha hai
namaz hai kibriya ki talib
Hussain matloob-e-kibriya hai
tu ab bhi mujhse ye puchta hai
3
Hussain kiya hai namaz kiya hai
5
naamaz zere sajood-e-ahmad
husain ka azam rakibana
naamaz ki shukr inteha hai
4
to iska mashkoor hai zamana
namaaz logon ko hai bulati
ye dast-e-baiyat utha raha hai
tu ab bhi mujhse ye puchta hai
5
Hussain kiya hai namaz kiya hai