ہر صنم کعبے میں حیران نظر آتا ہے
Har sanam kabay main hairaan nazar aata hai

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Har sanam kabay main hairaan nazar aata hai
kiya ise maut ka samaan nazar aata hai
maan akeli thin Ali roye nahin kaabe mein
ghaar mein kis liye tufaan nazar aata hai
Fatima bint-e-Asad se kaha Ka‘bay mein chalen
Be-Ali ghar mera sunsaan nazar aata hai
aaj haathon pe uthaye hain ali ko ahmad
yani quran pa quran nazar aata hai
Mezban arsh pe ik roz yahi to hoga
Aaj Ka‘bay mein jo mehman nazar aata hai
naara-e-haideri maston ki zabaan se sunkar
maulvi sakht pareshaan nazar aata hai
Fakhr-e-Adam se jo jalta hai to us par laanat
Kab yeh insaan hai shaitan nazar aata hai
jisne makkar siyasat ko diya din ka naam
khaandan-e-abu sufyan nazar aata hai
Pa ke har bait ke badlay mein Asar bait-e-jinan
Milk mein mulk-e-Suleman nazar aata hai