گھر سے نکلے هىں اس طرح اکبر
Inna lillaah parh ke akbar ko

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Inna lillaah parh ke akbar ko
haye sheh ne amaama baandha hai
2
ghar se nikle hain is tarha akbar
jaise koi janaza jaata hai
maut jeene ki kar rahi hai dua
aur akbar chale hai marne ko
umm-e-laila ka mustafa beta
zakhm seene pe khaane jaata hai
2
jaise dil jaa raha ho maqtal may
jaise jaati ho jaan seene se
aise apne jawan ke peeche
ek mazloom baap chalta hai
4
kitna pyara hai shaah ko akbar
saare zaalim ye baat jaante hai
taygh akbar pe chal rahi ha yahan
ibne zahra wahan tarapta hai
4
quwwat e murtaza ye poochti hai
sabr e shabbir itna batla de
wo to khyber ke dar se wazni tha
kaise laasha jawan uthaya hai
6
ran may rahwaar se giray akbar
shah khaime ke dar se uth na sake
aise dil thaam ke giray maula
Arsh jaise zameen pe girta hai
6
ay raza is jawan ke seene se
khoon rukta nahi hai roke se
sheh ka daaman lahoo may dub gaya
zakhm na jaane kitna gehra hai