کیسی یہ شام آئی اولادِ سیدہؑ پر
Kesi ye sham ayi aulad e Sayyeda par

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Kesi ye sham ayi aulad e Sayyeda par
Sajjad ro rahay hain Zainab se mun chupa kar
1
Ik simt be kafan hai bhai ka uske lasha
Abbas ki behen ka baqi raha na parda
Ab sochti hai Zainab maangey kafan ya chadar
2
Bazu kahin parey hain lasha kahin para hai
Zainab ki bebasi par Ghazi tarap raha hai
Roti hai bekasi bhi farsh e aza bicha kar
3
Jo ghar me do qadam bhi paidal nahin chali hai
Ik din me wahi Zainab Abbas ban gayi hai
Pehre pe aa gayi hai tanha alam utha kar
4
Sajjad se lipat kar kehti rahi Sakina
Ehsaas ho raha hai main ho gayi yateema
Zalim dara raha hai naiza dikha dikha kar
5
Lashon ke darmiyan wo baba ko dhoondhti hai
Mun apna peet kar ye faryad kar rahi hai
Qadmon mein hi sula do baba mujhe bula kar
6
Jab aa gaye Najaf se beti ko milne baba
Zaanu pe rakh ke sar ye kehne lagi wo dukhiya
Zainab ujar gayi hai Karbobala basa kar
7
Khaimon ke sath jhola bistar bhi jal gaya hai
Namoos e Mustafa ko baghi kaha gaya hai
Le jayenge subah ko qaidi hamein bana kar
8
Guzregi kaise Yawar maqtal se shahzaadi
Abid ne raat Momin ye soch kar guzari
Zainab ka naam lega zalim jo muskura kar