کیوں نہ مر جائے پدر جیتے جی سرور جیسا
kiun na marjaye pidar

- Language
- Urdu
Roman Urdu
kyun na mar jaye pidar jeete ji Sarwar jaisa
qatl ho jaye pisar jab Ali Akbar jaisa
1
baap logon se yun, bete ka pata poochta tha
tum ne dekha hai koi, rann mein Payambar jaisa
2
baap ke saamne hi tor di seene mein sinaan
kis qadar dil hai sitamgar tera patthar jaisa
3
laash tak bete ki, Shabbir ka aana mat pooch
marhala yeh bhi tha ek, Shimr ke khanjar jaisa
4
yun bhi patthar use, maare hain sitamgaron ne
sar-e-Akbar bhi tha unko sar-e-Haider jaisa
5
jo ke tujh jaise pisar ki bhi shahadat seh le
hai koi sabr mein, Akbar teri madar jaisa
6
kaise samjhega tu, Sughra ki museebat Maisam
tera bhai nahi, Sughra ke baradar jaisa