جب مدینے میں نظر آئے گی ویرانیءِ گھر
Maan na roegi tumhe Aun o Mohammad kyunkar

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Maan na roegi tumhe Aun o Mohammad kyunkar
2
Jab madine mein nazar aaegi viraniy-e-ghar
Jab ke zindan mein tum dono ka sar aya tha
Maan na royi thi tumhe tumko gila to hoga
Muaaf karna jo agar ho sake aye lakhte jigar
2
Mujhse poochenge jo Abdullah kahan hain bachche
Kya waja hai meri nazron se nihan hain bachche
Kya jawab unko ye maa degi mere noore nazar
4
Hujre dekhungi tumhare to tarap jaungi
Kis tarah se dile betaab ko samjhaungi
Ab nahi lautke aaenge mere rashqe qamar
4
Tum nahi paas to ab naaz uthaun kiske
Hujre hathon se bhala ab mai sajaun kiske
Kaash mar jati tere sath hi dukhiya madar
6
Tum nahi ho to maza kuch bhi nahi jeene mein
Haey is gham se phataa jata hai dil seene mein
Kaun ab mujhko pukarega bhala maa kehkar
6
Ay mere laal tere baad ghazab hum pe hua
Haey is chashm-e-falak ne bhi ye manzar dekha
Sar barehna ye laeen laigaye humko dar dar
7
Bain sunkar ye uthi Zain baqayya se sada
Gham na kha ay meri beti ke ye maa tumpe fida
Hain mere paas mere Aun o Mohammad dilbar