شبیر کی وہ لاڈلی
maula haq imam

- Language
- Urdu
Roman Urdu
2
Wo Aabid-e-beemar tha
Chalne se jo lachaar tha
Aur shaam ka bazaar tha
Aur Mustafa ki betiyaan
Maula haq imam....
2
Shabbir ki wo laadli
Sine pe jo shah ke pali
Jiski abaa ban me jali
Mun per tamanchon ke nishaan
Maula haq imam....
4
Wo zainab o kulsoom thin
Chaadar se jo mehroom thin
Na mehramon ke darmiyaan
Aur murtaza ki betiyaan
Ghazi bawafa....
4
Wo bawafa abbas tha
dukhiyon ki jo eik aas tha
Paani liya par na piya
Masoom ka ehsaas tha
Ghazi bawafa....
6
Ro kar kahe Qasim ki maan
Mara gaya Qasim jawaan
Ay laal mei dhundhun kahan
mehndi teri sehra tera
Maula haq imam....
6
Wo Asghar-e-besheer tha
Aur Hurmala ka teer tha
Pyasa ghala kyun kar kata
Royi zameen aur aasmaan
Maula haq imam....
8
Pyaase gale khanjar chale
Chaadar chini khaime jale
Abbas ke parcham tale
Roti rahin sedaniyan
Maula haq imam....
8
Sham-e-ghareeban chagayi
Abid ko ghairat khaa gayi
pehre pe Zainab aagayi
Abbas aur Akbar kahan
Maula haq imam....