Noha
مظلوم بے وطن یہ مرا مولا رضا ہے
Mazloom Be Watan Ye Mera Maula Raza Hai

View
Urdu
مظلوم بے وطن یہ مرا مولا رضا ہے
ہائے جسکو زہر لوگوں مسلماں نے دیا ہے
1
مامون عباسی کی عنایت ہے یہ لوگوں
ہائے آلِ پیمبر سے عداوت ہے یہ لوگوں
سیدوں سے ذرا دیکھو، یہ امت کی وفا ہے
2
سب آنکھیں کرو بند دہا،ئی ہے دہائی
اک بی بی عزادارو یہاں شام سے آئی
لپٹی ہے جنازے سے، نہیں سر پہ ردا ہے
3
آئے ہیں جنازے پہ نبی، شاہِ امم بھی
کلثوم، رقیہ بھی ہیں، معصومۂ قم بھی
وہ بی بی ہے کربل میں، جلی جس کی عبا ہے
4
یوں لوٹا مسلمانوں نے زہرا کے چمن کو
ہائے زہر دیا جیسے مرے مولا حسن کو
دہرائی گئی ہائے، وہی اِس پہ جفا ہے
5
معصومۂ قم دیتی ہیں رو، رو کے دہائی
اے کاش ملا دے کوئی مجھ سے مرا بھائی
صغریٰ کی طرح ہائے، بہن جس سے جدا ہے
6
قربان مرے مولا پہ ہو جان ہماری
مقروض مرے مولا کی یہ دنیا ہے ساری
یہ مرتبہ ہو کے بھی غریب الغربا ہے
7
روتے ہیں فرشتے بھی زمیں، اور زماں بھی
ہائے لوح و قلم، عرشِ بریں، کون و مکاں بھی
خیر النساء کے لعل، کے ماتم کی صدا ہے
Roman Urdu
Mazloom Be Watan Ye Mera Maula Raza Hai
Haye Jisko Zehar Logon Musalmaan ne Diya Hai
1
Mamoon Abbasi Ki Inaa,yat Hai Yeh Logo
Haye Aal-e-Payamber Se Adaawat Hai Yeh Logo
Syedon Se Zara Dekho, Yeh Ummat Ki Wafa Hai
2
Sab Aankhein Karo Band Duha,i Hai Duhai
Ik Bibi Azadaro Yahan Sham Se Aayi
Lipti Hai Janazay Se, Nahi Sar Pe Rida Hai
3
Aaye Hain Janazay Pe Nabi, Shah-e-Ummam Bhi
Kulsoom, Ruqaiya Bhi Hain Masooma-e-Qum Bhi
Woh Bibi Hai Karbal Mein, Jali Jis Ki Abaa Hai
4
Yun Loota Musalmano Ne Zah,ra Ke Chaman Ko
Haye Zehar Diya Jaisay Mere Maula Hasan Ko
Dohrayi Gayi Haye, Wohi Is Pe Jafa Hai
5
Masooma-e-Qum Deti Hain Ro, Ro Ke Duhai
Ay Kash Mila De Koi Mujh Se Mera Bhai
Sughra Ki Tarha Haye Behan, Jis Se Juda Hai
6
Qurban Mere Maula Pe Ho Jan Hamari
Maqruz Mere Maula Ki Yeh Dunya Hai Sari
Yeh Martaba Ho Ke Bhi Ghareeb Ul-Gurba Hai
7
Rotay Hain Farishtay Bhi Zameen, Aur Zamaan Bhi
Haye Loh-o-Qalam Arsh-e-Barin Kaun-o-Makaan Bhi
Khair-Un-Nisa Ke Laal, Ke Matam Ki Sada Hai