جب مصطفی ملے تو خدا کا پتا ملا
Naazan hai hum ke hum ko dare murtaza Milaa

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Naazan hai hum ke hum ko dare murtaza Milaa
Yei dar hummay Milla to dare murtaza Milaa
Jab mustafa milay to khuda ka pataa mila
Phir sari kainat ka parda uthaa mila
Aalam tamam bol rahaa thaa Ali Ali
Mai bhi sadaaein deta huwa un say ja mila
Chayra jahan Ali ki wilaayat ka tazkera
Murjhaa gayaa koyi koyi Chehra khila mila
Sajda furoo-e-deen hai Shabbir asl-e-deen
Shabbir mil gaye jisay usko khudaa mila
laakhon hazarzon saal ke sajde hawa huwe
iblis ko batao to sajdon se kiya mila
dunya ki chah mein huwi dunya bhi uski ghair
haider ki dushmani mein bhala usko kiya mila
Himmat hai shart aik qadam ka hai faaslaa
jannat say kerbala ka hai rastaa mila mila