جبرئیل لے کے جاؤ یہ بلّغ کی آیتیں
Palaan ki hay baat ye mimbar ki baat hay

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Palaan ki hay baat ye mimbar ki baat hay
Maydan-e-Khum wilayat-e-Haidar ki baat hay
1) Jibareel laykay jao ye balligh ki ayatein
Kehedo kay ab ye kaare Payambar ki baat hay
2) Baade Nabi Ali hain wali keh chukay Rasool
Bhoolay wo kis tarha kay yay ghar ghar ki baat hay
3) Fath-e-Hunain o Khandaq o Khaybar ki baat hay
Ik fard hay lage hay kay lashkar ki baat hay
4) Goonjayga ab fiza may Ali-e-Wali ka naam
Qalb-e-munafiqeen pay khanjar ki baat hay
5) Momin kay dil hain shaad munafiq jalay hooway
Saahab ye apne apne muqaddar ki baat hay
6) Kyun kar na ata arsh say patthar paey sanad
Akhir ko yay wilayat-e-Haidar ki baat hay
7) Bhagey na aj koyi karo aisa intizam
Boozar kay kaan may yahi Qambar ki baat hay
8) Qaayam hay ab bhi akhri Mawla Ghadeer ka
Meri nahi ye Sura-e-Kawsar ki baat hay
9) Baade Ghadeer bazm-e-saqifa mein baithna
Aawaragi-e-fikar hay yay shar ki baat hay