رن کو جاتے ہوئے سر جھکائے ہوئے
ran ko jaate huwe sar jhukaye hue

- Language
- Urdu
Roman Urdu
ran ko jaate huwe sar jhukaye hue
Sheh ne ro kar kaha alwida alwida
aaya waqt-e-safar ay behan aaj ham
ho rahe hain juda alwida alwida
1
shah barh kar behan ke galay lag gaye
aur dukhiya behan se ye kehne lage
se ye kehne lage
meri mazloom pyasi musafir behan
tera haafiz khuda alwida alwida
2
jis se darti thi tum wo ghari aagayi
dekho charon taraf teergi cha gayi
teergi cha gayi
dasht-e-pur-haul main sham hone ko hai
lo musafir chala alwida alwida
3
le ke bali sakina ko aaghosh mein
nanhe nanhe se haathon ke bose liye
ro ke bose liye
sheh ne hasrat se beti ko takte huwe
aah bhar kar kaha alwida alwida
4
bola bemaar bete se aaqa mera
ab na aayega ay beta baba tera
beta baba tera
maut ki aahatein tez hone lagin
aa rahi hai sada alwida alwida
5
aaya khaime se baahir jo maula mera
bhai beta bhatija koi bhi na tha
haye koi bhi na tha
aik hasrat se charon taraf dekh kar
sheh ne khud hi kaha alwida alwida
6
jab tarap kar kaha mere sheron utho
aao zainab ke bhai ko rukhsat karo
haye rukhsat karo
aik ek laash-e-be-sar se aayi sada
ay shah-e-karbala alwida alwida
7
aisa matam karo aisa matam karo
paak bibi kahain marhaba marhaba
marhaba marhaba
khoon ugalte huwe aik ek zakhm se
aaj aaye sada alwida alwida