رہائی قید سے زینبؑ کو جب ملی ہوگی
Rihayi qaid se Zainab ko jab mili ho gi

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Rihayi qaid se Zainab ko jab mili ho gi
Bina Hussain kay woh kaisay ghar gaye hoo gaye
1
Aye Nana Tere Nawase ko teri ummat ne
Dafan kiya hai na uryian hi ban mein chor diya
Hussain Ya Hussain,
Hussain Badshah, Hussain shahenshah
Hussain deen hai, Hussain dein pannah,
Shaheed-e-karbala, Zabihay nainwa,
Bay zuram-o-bay khata, Hay tayra ghar luta
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Dafan kiya hai na uryian hi ban mein chor diya
Batoolzadi yehi baat sochti ho gi
2
Lutien thi dasht mein jo chadarien Saydaniyoon ki
lotayein Abid-e-Beemar ko layeenoon nay
Sajjad haaye Sajjad
Beemar-e-karbala, Aseer-e-baykhata
tumhara qafla, jo tha luta howa
pahan kay bayriyaan, jidhar bhi tu gaya
woh raasta jo tha laho laho howa
na jaanay kis tarhaan, yeh tu nay seh liya
woh Zainab-e-hazeen, ka sar khula howa
phir is kay baad tu, hai jab talak jiya
tumhari aankh say, sada hai khoon baha
Sajjad haaye Sajjad haaye Sajjad haaye Sajjad!
lotayein Abid-e-Beemar ko layeenoon nay
Ali ki Laadli hasrat say daykhti ho gi
3
Woh chay maah kay bachay ko teer maara tha
Woh Sheer khawar ka laasha sina pay aaya tha
Sagheer Haaye Sagheer
Sagheer-e-Karbala, Aye Kushta-e-jaffa
kisi ki dushmani, hai tum say kiya bhala
tumhara sin abhi, nahin hai jang ka
qaza ka teer hai, badast-e-hurmala
tumhara phool say, bhi narm hay gala
Rubab kis tarhaan, karay gi hosla
Khudara hosla, na maa ka aazma
Hussain per yehi, to waqt hai karra
laho Sagheer ka, moh pe mal liya
Sagheer Haaye Sagheer Haaye Sagheer Haaye Sagheer!
Woh Sheer khawar ka laasha seenay pay laaya tha
Batool lahad mein moh apna peet-ti ho gi
4
Paray thay Laashay jawaanoon kay dasht-e-Karbal mein
para tha Ghazi ka laasha bagheer shanoon kay
Abbas Haaye Abbas
Abbas bawafa, Abbas basafa
hay tu pala howa, Ali ki goud ka
Abbas Moajazza, hai tu Batool ka
Abbas ek naya, hai pesh marhala
Hai Zainab bayrida, safar hai Sham ka
Hain Shami bay haya, Wa Museebata!
Abbas Haaye Abbas Haaye Abbas Haaye Abbas!
para tha Ghazi ka Laasha bagheer shanoon kay
Jawan bhai kay shanoon ko dhondhti ho gi
5
Gaya jo qafla maqtal mein Aale-Ahmed ka
Veeraan dasht mein har Bibi apnay pyaron ko
Jawan haaye jawaan,
Shabih-e-Mustafa, Wazir-e-Murtaza
Athara saal tak, tu burqay mein palla
Phuphi nay naaaz say, tujhay jawaan kiya
Khuda kay waastay, Abhi na ran mein ja
Hussain kis tarhaan, yeh daykh paayay ga
Jawaan ka jigar, sina ka totna
Hai tayra rasta
Jawan haaye jawaan haaye jawaan haaye jawaan!
Veeraan dasht mein har Bibi apnay pyaron ko
Karakti Dhoop mein ro ro kay dhundti ho gi
6
Gaye thi sath tumharay Sakina Karbal mein
Kahan hai bhayyia mujhay nazar nahin aati
Beemar Sughra yeh Abid say poochti ho gi
7
Suni jo bali Sakina nay khabar yeh Akhtar
keh sab chalay hain mujhay chor ker Madinay ko
Masooma kabr mein tanha hi ro rahi ho gi