شام آ رہی ہے دِل پر ہزاروں، صدمے اٹھائے بیٹی علیؑ کی
Shaam aa rahi hai dil paar hazaro, sadme uthaye beti Ali ki

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Shaam aa rahi hai dil paar hazaro, sadme uthaye beti Ali ki
Haste hai saare baazar waale, roti hai haaye beti Ali ki
1
Tha jis ka bhayi Abbas-e-Ghazi, hai aaj qaidi wo shahazadi
Ye shor sun kar ghairat ke maare, kahin mar na jaaye beti Ali ki
2
Chaaro taraf hai mahaul aisa, jaise laga ho koyi tamasha
Abbas aaja chadar urha jaa, ghabraa na jaaye beti Ali ki
3
Barsaa rahe hai pathar sitamgar, lagte hai pathar Bibi ke sar per
Bazoo bandhe hai bebas hai khud ko, kaise bachaaye beti Ali ki
4
Zulfe pakar kar Shimr-e layeen ne, maare tamaache tarpi Sakina
Zainab ke dono bazoo bandhe hai, kaise churaaye beti Ali ki
5
Wada kiya tha usne khuda se, roshan karegi tera naam chahey
Bazaar jaye darbaar jaye, zindan jaye beti ali ki
6
Sajdey bachaye kaaba bachaye, quran bachaye deen ko bachaye
Farsh e aza par ashk e aza ko, Gohar banaye beti Ali ki
7
Jana hai usko darbar shami, chaaro taraf hai majma sharabi
Zainab ke sar par chadar nahi hai, kis tarha jaye beti ali ki
8
Jo ke pali thi tukro pe unke, azaad hai wo adnaa kanizein
Kaisi qayamat aayi hai Ya Rab, qaidi hai haaye beti ali ki