اللہ کا دین بچانے،
shehzada mera qasim shehzada

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Shehzada Shehzada, mera Qasim Shehzada
Allah ka deen bachane,
Aaya hai ran mein nibhane, baba ka wada
Qasim Shehzada
Hai is ki jawani, Shabbar ki jawani
Pathhar ke kaleje, ho jayenge pani
1
Allah ka deen bachane,
Aaya hai ran mein nibhane, baba ka wada
Qasim Shehzada
Hai is ki ragon mein khun-e-Abutalib
Ye sher rahega har ek pe ghalib
2
Allah ka deen bachane,
Aaya hai ran mein nibhane, baba ka wada
Qasim Shehzada
Bana raat ko dulha, gaya subha ko maara
Hasnain ka pyara, farwa ka dulara
3
Allah ka deen bachane,
Aaya hai ran mein nibhane, baba ka wada
Qasim Shehzada
Behno ki dua ka, hai sar per saaya
Yeh fauj-e-adu ka, kar dega safaya
4
Allah ka deen bachane,
Aaya hai ran mein nibhane, baba ka wada
Qasim Shehzada
Pota hai Ali ka, beta hai Hasan ka
Aur khaak-e-shifa hai, naam is ke kafan ka
5
Allah ka deen bachane,
Aaya hai ran mein nibhane, baba ka wada
Qasim Shehzada
Rangeen bana di, tasweer wafa ki
Hathon per laga kar, khud khoon ki mehendi
6
Allah ka deen bachane,
Aaya hai ran mein nibhane, baba ka wada
Qasim Shehzada
Yun dasht-e-bala mein, barpa huyi shadi
Dulha bhi pyaasa. baraat bhi pyaasi
7
Allah ka deen bachane,
Aaya hai ran mein nibhane, baba ka wada
Qasim Shehzada
Jaan dekar Gauhar, islam bachaya
Bete ne Hasan ke, waade ko nibhaya
8
Allah ka deen bachane,
Aaya hai ran mein nibhane, baba ka wada
Qasim Shehzada