شمع سے شمع جلے، سلسلہ جاری رہے
Shama se shama jale

- Language
- Urdu
Roman Urdu
2
Shama se shama jale, silsila jari rahe,
Hum rahain ya na rahain, ye azadari rahe
Apni naslon lo sikhate raho, matam ka hunar,
Seena dar seena kare, bus ye azadari safar,
Jaise halat bhi hon, ye amal jari rahe,
Hum rahain ya na rahain, ye azadari rahe
2
Lakh badle ye zamane ki ravish aur mausam,
Eik pal bhi na ruke ashk-e-aza aur matam,
Matam-e-sheh ka junoon, zahn par tari rahe
Hum rahain ya na rahain, ye azadari rahe
4
Tum agar zakir-e-Shabbir ho, yeh yaad rahe,
Chahe is gam ke liye, sar bhi kate ghar bhi jale
Hurmat-e-farsh-e-aza, jaan se pyari rahe,
Hum rahain ya na rahain, ye azadari rahe
4
Yeh sabilein yuhin aabad rahein ahl-e-aza,
Aur ghar ghar pe nazar aaye alam Ghazi ka,
Ye alam uncha rahe, yeh alamdari rahe,
Hum rahain ya na rahain, ye azadari rahe
6
Dunia walon ki na parvah na kutch baat karo,
Mannati bairiyan Sajjad ke gham me pehno,
Raunaqe farsh-e-aza girya-o-zari rahe
Hum rahain ya na rahain, ye azadari rahe
6
Maaon behnon ko hai paigam mera sirf yahi,
Aapne bacchon ko juluson se nahi roko kabhi,
Yeh shahadat hai sharaf, yeh sharaf jaari rahe,
Hum rahain ya na rahain, ye azadari rahe
8
Apne ghar me bhi aza khana sajana hai mujhe,
Apne bacchon ko azadar banana hai mujhe,
Taake is nasl me bhi, tazia dari rahe,
Hum rahain ya na rahain, ye azadari rahe
8
Majlis-e-shah ki zindan me jo bunyad rakhi,
Asl me bibi o sajjad ki khwaish thi yahi,
Yeh azadar rahein yeh azadari rahe,
Hum rahain ya na rahain, ye azadari rahe
9
Majlis-o-matam-e-Shabbir ki tableeg karo,
Baat ye Mazhar-o-Irfan zamane se kaho,
Munkir-e-bibi se har haal me bezari rahe,
Hum rahain ya na rahain, ye azadari rahe