یہ خط میں شاہؑ نے لکھا حبیب آجاؤ
Ye khat mein Shah ne likha, Habib aajaao

- Language
- Urdu
Roman Urdu
2
Ye khat mein Shah ne likha, Habib aajaao
Tumhara dost hai tanha, Habib aajaao
Shaheed kaisey huwa wo bataaogey aakar
Tum haal-e-Muslim-e-baikas sunaaogey aakar
Ruqayya takti hai rastaa Habib aajaao
2
Lagaao is sey bhi andaazey meri ghurbat ke
Jahaan pey ibn-e-Ali likhna tha wahaan mein ne
Diya hai maan ka hawala, Habib aajaao
4
Bata raha tha usey koi bhi nahi hai mera
To boli Thaaniy-e-Zehra Habib aayega
Hai usko tumpey bharosa, Habib aajaao
4
Wo jab ye sunti hai Kufe se aarahey hain shaqi
To puchti hai hamaara bhi aayega koi
Duaaein deygi Sakina, Habib aajaao
6
Gawara kar nahin sakti Hussain ki ghairat
Tumhari zauja ki chaadar ko lootley ummat
Tum usko chorhkey Kufa Habib aajaao
6
Mujhey hai yaad wo lamha Jo rab ki marzi se
Tum ho key zinda Meri baat sunney aaye they
Bula raha hun dubara Habib aajaao
8
Dar-e-Batool dobaara jalaaya jaayega
Tumhaarey dost pey khanjar chalaaya jaayega
Nahin hai waqt zyaada Habib aajaao
8
Chamaktey chaand ki humko bhi deed hojaaye
Tum aao to merey bachon mein Eid hojaaye
Bohat udaas hai kunba Habib aajaao
10
Ye khat nahin isey behnon ki aarzu samjho
Hamaarey lafzon ko Zainab ki guftagu samjho
Behan ye kehti hai bhayya Habib aajaao
10
Bahan ney usko takallum Jo bhai samjhaa tha
Pukaari sham-e-ghareeban mein Thaaniy-e-Zehra
Hamaara lut'taa hai pardaa Habib aajaao