چھانے لگی شامِ غریباں ہائے قیامت کا ہے سماں
Chhane lagi shaam e ghareeban

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Chhane lagi shaam e ghareeban haaye qiyamat ka hai samaan
Khaima e sadaat se utha dhuaan haaye qiyamat ka hai samaan
1
Dhal gaya din khatam larai hui maut ki khamoshi hai chaai hui
Chaak garebaan khudai hui khaak basar Fatima jaai hui
Larzi zameen kanp utha aasman haaye qiyamat ka hai samaan
2
Noor e nazar raaj dulare gaye Zainab dilgeer ke pyaare gaye
Shah ke ansar bhi maare gaye aas thi jin par woh sahaare gaye
Loot liya maut ne yeh karwan haaye qiyamat ka hai samaan
3
Khoon mein hai tar sher e jari ka alam ho gaya Shabbir ka sar bhi qalam
Khushiyan manane lagi fauj e sitam, gham se tabaah haal hain ahl e haram
Loot gayin konain ki shehzadiyan haaye qiyamat ka hai samaan
4
Aun o Muhammad nahin Akbar nahin Sarwar o Abbas-e-dilawar nahin
Haaye koi munis o yawar nahin khaima nahin maqna o chadar nahin
Dasht mein be hain aal-e-nabi beamaan haaye qiyamat ka hai samaan
5
Madar e Akbar ka ajab haal hai deta hai jab koi tasalli use
Kehti hai dil thaam ke rote hue khogaye is ban mein sahaare mere
Mar gaya haaye mera karyal jawaan haaye qiyamat ka hai samaan
6
Maan hoon har ek ranj uthaoon gi main rote hue khud chali jaoon gi main
Dhoond ke be sher ko laoon gi main is ke bina ji nahin paoon gi main
Reh gaya haaye mera bachcha kahan haaye qiyamat ka hai samaan
7
Haaye yeh be chargi yeh be kasi deta nahin is ko dalasa koi
Darmiyan lashon ke akeli khari kahti hai bachchi koi sehmi hui
Dhoondne jaoon tujhe baba kahan haaye qiyamat ka hai samaan
8
Hai ye Gohar azmat e bint e Ali sab ko sambhala bhi hifazat bhi ki
Gham mein Shah-e-din ke bhi roti rahi mamta pe aanch bhi aane na di
Maan to hai bas Aun o Muhammad ki maan haaye qiyamat ka hai samaan