لا رہا ہوں میں لاشئہ اکبر
Laa raha hun main lasha e Akbar

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Laa raha hun main lasha e Akbar
Umme Laila sambhaal Zainab ko
Bolay honge Hussain ye rokar
Umme Laila sambhaal Zainab ko
1
Naujawan laash hai zaeefi hai
Meri nazron se dekh manzar ko
Kaise hamsheer ko sambhalunga
Mai sambhale hue hun Akbar ko
Tera ehsaan hoga ye mujh par
2
Iske seene se kehke naam-e-Ali
Maine barchi abhi nikaali hai
Imtehan de chuki meri ghurbat
Ab teri bekasi ki baari hai
Tu bhi is waqt ya Ali keh kar
3
Do nageene thay iski jholi may
Dono Akbar pe kar diye sadqa
Sabr aisa ke apne beton par
Maine rote isay nahi dekha
Hai magar ab ye lasha e Akbar
4
Rok rakha hai apne ashkon ko
Sab se chhup chhup ke aahen bharti hai
Main samajhta hun maadar e Akbar
Teri mamta pe jo guzarti hai
Rakh ke apne kaleje par pathar
5
Kaise laash-e-jawan uthaye hun
Aeriyan khat banati aati hai
In nishano ko peeche peeche mere
Amma Zehra mitati aati hai
Uski nazrein na dekhein ye manzar
6
Ay takallum wo shaam o kufa ka
Tay hua hoga is tarah se safar
Amma Zainab sambhaalna maa ko
Kehtay hongay sina say yeh Akbar
Aur hoga Hussain ke lab par